Python क्या है? - पाइथन लैंग्वेज कैसे सीखे - Python kya hai? - Python language kaise sikhe?

Aaj hum janenge ki Python kya hai? Python kaise sikhe? Python seekhne ke kya benefits hai? Python sikhne ke tips. Aap kaha se python seekh sakte hai?

Aaj hum janenge ki Python kya hai? Python kaise sikhe? Python seekhne ke kya benefits hai? Python sikhne ke tips. Aap kaha se python seekh sakte hai? Aur bhi bohot kuch.

Python kya hai?

                                                 
Python-kya-hai?
Python kya hai?

Python ek general-purpose or high-level language hai Jiska use data science, machine learning, web designing, software Banane aur mobile application banane mein use kiya jata hai. Isse aap game development aur Google ki tarah search engine bhi bana sakte hain iska use Google, YouTube jaise bade platform bhi kar rahe hain. Iss language ka sabse bada fayda yah hai ki yah dynamic system aur automatic memory ki facility ke sath rahti hai.

Python language ka istemal kaha par hota hai?

Python language ke bare mein humne aapko upar bata diya hai. Niche hum aapko list de rahe hain ki python language ka istemal kahan-kahan par kiya ja sakta hai.

1.Iska istemal computer software banane ke liye kiya jata.

2.Python language ka istemal web application banane ke liye bhi kiya jata hai. Aapko Python programming ke basic fundamental sikhane ke bad me uske framework jo ki aap ke browser mein HTTP protocol ke jariye aapke banae gaye project ko browser mein run karne mein help karte hain unko seekhna hoga ye 2 tarah ke aaj bahut jyada istemal ho rahe hain jismein se ek hi Flash aur dusra hai Django.

3. Iss language ka istemal artificial intelligence ke liye bhi kiya ja sakta hai.

4. Data science ke liye bhi Python language ka istemal kiya jata hai.

5. Game banane ke liye bhi Python language ka istemal kiya jata hai.

6. Mobile application banane ke liye bhi Python language ka istemal Kiya Ja sakta hai.

Python language itna popular kyo ho raha hai?

Simplicity. Aaj python ne programming ko bahut hi easy bna diya hai jiski vajah se log programming ko ab enjoy karte hai.

Open-source language. Python language ka istemal koi bhi kar sakta hai vo bhi bilkul free me. Aap Python ko jitna chahe modify kar sakte hain vo bhi bina kisi dikkat ya license ke.

Portability. Aap apne codes ko likhkar kisi ke sath bhi share kar sakte hain isse project aur system ka istemal aur bhi aasan ho jata hai.

Interpretation. Python mein aap line interpret kar sakte hain iska matlab hai ki CPU or memory ke liye delete karna aur easy ho jata hai.

Huge Library Python ke pass bohot badi library support hai iska matlab hai ki aap apne problems ka solution jyada easily pa sakte hai.

Python ke course mein kya-kya sikhaya jata hai?

                                           
Python-ki-course-m-kya-kya-sikhaya-jata-hai?
Python ke course mein kya-kya sikhaya jata hai?

1.Basics. Agar aapko Python language ka expert banna hai to pahle aapko basic sikhna hoga jisme aapko variable, data type, aur operator sikhna hota hai, yahi aapka base banata hai.

2. Arrays. Basics ke bad aapko Arrays sikhna hai jismein aap data ko store karna sakte hain.

3. Flow Control. Iske bad flow-control working sikhaya jata hai aur loops ka istemal karne ke sath communication problem solve karna sikhaya jata hai.

4. Methods. Uske bad aapko alag-alag method sikhaya jaate hain jismein aasaani se numbers ko add karna sikhaya jata hai taki system performance ko aasaan kiya ja sake.

5. File handling. Uske bad aapko file-handling sikhaya jata hai jisse aap data read or write kar sake.

6. Oops. Iske bad aap ko Oops sikhaya jata hai jismein aap classes aur object ke importance ke bare mein seekhte hain.


Also Read:-

Google ka full form kya hai | Google full form in hindi

Encryption meaning in hindi | Meaning of encryption in hindi

Email address kya hota hai? | Email id kya hota hai?

Facebook se paise kaise kamaye? (हिंदी में )


Aur aakhir mein inn sab me master hone ke liye app jitna jyada Python ko practice kar sake utna karen. Aap jitna jyada practice karenge utna hi jyada master bante jaenge.Python sikhne ke bad aapke pass bahut sare career option khul jaate hai. Aap game development, web development, app development, web app testing, data scientist, artificial intelligence, smart devices development jaisi field mein ja sakte hain. Bas Python per aapki acchi command honi chahiye.

Learners hamesha bahut badi galti karte hain ki wo kuch bhi sikhane se pahle plan nahin banate.

Hamesha kuchh bhi sikhane se pahle plan karna chahiye ki aapko kitne din mein kya-kya complete karna hai.Agar aap Python sikhna shuru kar rahe hain to pahle apna time table bna le isse aapko pta rahega ki kitni speed se aap seekh rahe hain aur apna target achieve kar rahe hain.

"Agar ek bar lagan se do mahina de dete hai to yakeen maniye aap Python seekh jayenge."

Python seekhne ke benefits kya hai?

1. Logic. Python programming language bohot easy hai aur isse koi bhi use kar sakta hai. Agar aapko programing language ke bare me kuch nahi aata ho phir bhi aap log Python language ko easily aur kamm time me seekh sakte hai.

2. Time. Python programming language ka logic bahut hi aasaan hai. Python programming language par jab hum log koi software banate hain tab software banane mein bahut hi kamm time lagta hai kisi dusri programming language ki tulna mein jo ki bahut acchi baat hai.

3. Free and Licence. Python programming language ko istemal karne ke liye hum logo ko koi paisa nahi dena padta hai, aur koi license ki bhi jarurat nahi padti hai. Bahot sare aise programming languages bhi hai jinko istemal karne ke liye paisa lagta hai.

4. Speed. Python programming language bahut hi fast programming language hai, kisi dusri programming language ke comparison me isi liye Python language famous hai.

5. General Purpose. Python programming language ek general-purpose language hai. General-purpose language ka matlab hai ki Python programming ki help se hum log kisi bhi platform ke liye koi bhi application bana sakte hai. Jaise web application, software, mobile apps aur bhi bahut kuch hum log Python programming language ki help se bana sakte hai. Isi vajah se Python programming language itna popular hai sabhi programming language se.

6. High Salary. Python programming language ko agar aap log acche se sakte hai, tab aapko bahut hi jyada paise wala job milta hai. Kyunki market me abhi Python programming language ek number par hai. Chhote kaam se lekar sabhi bade kaam sab hote hai Python programming language ki madad se. Agar aap log Python programming language ko acche se sikhate hai tab aap logon ko multinational company me bhi job mil sakta hai. Abhi ke year me hi nahi, agar aap log aaj se 5-year baad bhi dekhen tab bhi aap logon ko Python language hi ek number par dekhne ko milegi jo ki sahi me bahut acchi baat hai. Aap Logon ko jo salary Python programming language mein dekhne ko milti hai vo hai 50000 rupees per month hai. Aap log dekhenge ki videsh me salary bahut jyada hai Python programming ka.

5 places to learn Python for free...

1. CodeCademy. Agar aapko interactive learning pasand hai to CodeCademy se aachi koi jagah nahi aapke liye. Vo aapko pahle theory padhte hai phir aapko code karne ke liye kahte hai. Best cheez ye hai ki aapko koi setup nahi karna padta hai Python installation ka apne computer me.Aap code seedha browser se hi run kar sakte hai. Aapko koi complete program likhne ki jarurat nahi hai jab tak aap ready na ho. 

2. Udemy. Ye dusra famous online course platform hai aur shayad sabse bada collection hai courses ka. Aap koi bhi cheez seekh sakte hai Udemy me wo free me. Aapko koi subscription ki jarurat nahi hai. Aapko bass ek free account bnana hoga phir aap python ke free course me enroll kar sakte hai. Sabse acchi baat ye hai ki aapko experts se seekhne ko milta hai par ye interactive nahi hai CodeCademy ki tarah.

3. Google's Python Class. Agar aapko pta na ho ki Google ne ek excellent Python tutorial start kia hai beginners ke liye jiska naam hai Google's Python Class.

Google's-python-class
Google's python classes


Ye ek free class hai logon ke liye jinke paas programming ka thoda experience hai aur jo Python seekhna chahate hai. Iss course me tutorials, lecture video, aur bahut sare coding exercises hai Python practice karne ke liye. First ki kuch exercises me basics bataya jata hai jaise strings and lists. Google khud Python ko use karta hai.  Best part ye hai ki sare course videos YouTube par bhi available hai.

4. Microsoft's Free Python Course. Aaj ke time mein har koi youtube chalata hai. Par kaisa ho agar usse hum time-pass karne ke bajay kuch naya seekhne ke liye use kare. Agar aapko ye idea pasand aaya toh ye course aapke liye hi bana hai. Is course mein aapko beginning se lekar intermediate level tak ki python sikhaya jayega. Par iska sirf ek hi down point hai ki isme aapko koi certificate nahi milega. 

5. Coursera Agar aapko world ki best universities se course karna hai wo bhi free me tab aapko Coursera ko try karna chahiye. Coursera aapke liye courses lata hai universities jaise Stanford, INSEAD, NUS (National University of Singapore) aur bhi bohot sari universities. Coursera pe sabse popular Python course Programming for Everybody (Getting Started with Python)Ye course aapko Python seekhaya starting se. Aapko aur koi extra knowledge nahi honi chahiye Python seekhne ke liye. 850,000 students se zyada ne iss course me enroll kia hai aur programming seekh rahe hai.

Python sikhne ke tips...

Ye kuch tips hai jo aapko Python seekhne me kaam aayega.

                                           

Python-sikhne-ke-tips
Python sikhne ke tips...

1) Age matter nahi karta hai

Python sikhne ke liye kisi khaas age ka hona zaruri nahi hai aapko ye baat samajhni hogi ki Python language seekhne ki age nahi hai.

2) Apne aap ko Challenge kare

Python sikhna aasan ho sakta hai kyoki iska syntax thoda easy hai baki programming languages ke comparison me. Lekin isse seekh kar career ko develop karna thoda mushkil hai. Iske liye aapko isme master hona padega.Roz bohot sare log Python seekh kar iss career me aa rahe hai. Lekin successful wahi hota hai jo alag sochta hai.Jo khud ko challenge karta hai. New tasks aur projects ko karne se accha experience hota hai aur creativity bhi increase hoti hai.

3) Basics seekhne mai zyada time na lagaye

Basics log tab seekhte hai jab koi cheez aapke liye new ho. Lekin bohot log basics seekhne mai hi 2-4 months laga dete hai.Aapko basics par kuch time dena chahiye phir problems aur projects par kaam karna start kar dena chahiye.

4) Data Structures aur algorithm seekhe

Agar aap Python ya programming languages ko seekhne ke liye serious hai aur isme apna career bnana chahte hai to aapko Data Structures aur Algorithm seekhne bohot jaruri hai. Algorithm aur Data Structures ke problem solve kare. Iske liye aap Online platform ka use kar sakte hai jaise Leetcode

5) Apna blog banaye

Apna-blog-banaye
Apna blog banaye

Aapko apna ek blog bnana chahiye jisme aap records rakh sake. Aap aapne Python related kaam ko blog par daal sakte hai jaise projects, notes etc. Isse aapke concepts zyada acche se yaad ho jayenge aur aapko website bnane ka bhi experience ho jayega jo aapki help karega iss field me career bnane ke liye.

6) Paper par code likhe

Code ko paper par likhna ek bohot effective tarika hai Coding seekhne ka.Research me ye paaya gaya hai ki handwritten notes se zyada aacha yaad hota hai Computer notes ke comparison me. Aapko codes ko apne hatho se paper par likhna chahiye isse aap jaldi Python ke syntax se familiar ho jayenge.Modern editor jo hai wo errors ko highlight kar dete hai isliye paper par code likhe time aap inn mistakes ko zyada dhyan na de. Concepts aur key function ko likhna bohot help karta hai.

7) Bohot practice kare

Ek baar aapko aachi jankari ho gai Python ke fundamentals ki tab aapko bohot sari PRACTICE karni hai.Aapko roz thodi-thodi coding karni chahiye.Iss aapke andar consistency aayegi aaye aap familiar ho jayenge Python se.Practice se aapke andar problem-solving skills develop hogi.


Also Read:-

Filmywap.in bollywood movies kya hai? | Filmywap official.com

Google mera naam kya hai? | Mera naam kya hai batao?

Computer kya hai? | What is the computer in hindi?

Wifi ka full form in hindi || Wifi फुल फॉर्म


8) Python ki community me logon ki help kare

Community me help karna ek best tarika hai Python seekhne ka. Ye ek bohot accha tarika hai logon se interact karne ka jinka ek jaise interest ho aur ye ek accha tarika hai logon ko new topics padhane ka. Logon ke sath interact aur kaam karne se aapko new concepts ka knowledge hoga.

9) Error se seekh le

Jab aap python seekhenge tab aapko bohot sare errors aayenge. Ye puri tarah se normal hai. Aapko shayad isse frustration ho par aap pareshan na ho. Debugging kaise karte hai ye seekhne bhi Python seekhne ke andar aata hai. Agar aap debugging karna practice karte hai to aap aur fast ho jayenge Debugging me aur future me aapko pta chalega ki konsi galtiyon ko aapko avoid karna hai.

Iske sath hum iss article ke END me aa gaye hai. Aap python ko zarur seekhe. Ye aapko bohot help karega. Agar aapko kuch puchna ho to aap humse comments me puch sakte hai.

THANKS FOR READING!