Encryption meaning in hindi | Meaning of encryption in hindi | (Uttam Jankari)
Aaj ke time me jab log apna bohot saara time internet par spend kar rahe hai to isse Hackers logon ka data chura rahe hai jo bohot badi problem ho gai hai. Ek time tha jab ghar me se chori hoti thi par ab to saare scam, fraud, chori Computer se hote hai. Issi liye encryption aur cyber security ki need aur increase hoti jaa rahi hai.
Information ko encrypt karne ka tarika naya nahi hai. Reality me cryptography bohot pahle se hoti aa rahi hai. Pahle raja aur maharaja apne secrets ko encrypt karke rakh
Isse users ko ye security milti hai ki unka data chori nahi hoga aur wo safety se apna kaam kar sakte hai.
Encryption meaning in hindi
Encryption ka kya matlab hai?
Hindi me encryption ka matalab hai:
Information ya data ko codes me convert karke unauthorised users ko data aur information ka istemaal karne se rokna.
Encryption kya hota hai?
Encryption wo process hai jisme ek algorithm ka istemaal karke information ya kisi data file ko unreadable form me convert kar diya jaata hai jisse koi unauthorized user usse read na karle. Easy words me samjhe to kisi data ko codes ki help se protect karna encryption bola jata hai. Kisi bhi information ya data file ke encrypt ho jaane ke baad sirf wahi insaan usse read ka sakta hai jiske pass iski decryption key ya password hota hai. Encryption se pahle ki data file ya information ko Plaintext bola jaata hai jabki encryption ke baad information ya data file ko Ciphertext bolte hai.
Encryption kya hota hai? |
Encryption aur decryption ke pure process ko cryptography bolte hai. Koi bhi doo insaan kisi bhi file ya information ko share karte time koi third insaan uss information ko na chura le issi liye cryptography technique ka help liya jaata hai.
Aaj kal credit card air debit card ke information ko protect karne ke liye bhi cryptography ka istemal kiya jaata hai.
Cryptography bhi bohot type ki hoti hai.
Types of encryption
Encryption ke mainly 2 types hote hai. First Symmetric aur second Asymmetric.
Chaliye inke baare me jaate hai.
1) Symmetric Encryption
Symmetric Encryption me data ko encrypt karne ke liye aur data decrypt karne ke liye ek hi key ka istemal kiya jata hai. Ek hi key hone ki wajah se encryption ke process me data ko encrypt karne wale user ko key, data ko decrypt karne wale user ke sath share karni padti hai. Encryption key ko har user ke sath share karni padti hai jisse wo ye data bhejna chahta hai. Issi wajah se Encryption ke iss process ko Shared Encryption bhi bola jaata hai.
2) Asymmetric Encryption
Asymmetric Encryption ke process me 2 keys hoti hai. Ek key ko encrypt karne wala user istemal karta hai second key ko decrypt karne wala user istemal karta hai. Ek key user ke pass hoti hai aur dusri key ko unn logon ke sath share kar diya jaata hai jinhe wo information bhejni hoti hai. Encryption ke iss process ko Public Key Encryption bhi bola jaata hai. Website ke URL me HTTP ko HTTPS me badalne wale SSL (Secure Socket Layer) me bhi issi Encryption key ka istemal hota hai.
Importance of Encryption
Encryption ka kya importance hai?
Aaj ke time me scam aur fraud hone ki chances increase hoti jaa rahi hai kyoki zyada tar cheeze online hoti jaa rahi hai aur bahot saare hackers aapke device ko hack karne ke liye ready rahte hai isliye encryption karke apne data ko safe rakhna bohot zaruri hai.
Encryption se kya-kya safety milti hai?
1. Data ki security
Kisi bhi device ki information ko secure karne ke liye encryption sabse acchi techniques hoti hai. Agar aapke device me encryption ka istemal hua hota hai to device kho jaane par bhi aapki files aur information secure rahti hai.
Do logon ke beech data transfer karte time koi third insaan uss data ko na chura le isliye bhi encryption technique ka istemal kiya jaata hai.
2. Data ki privacy ke liye
Agar aapka device bohot saare log access kar sakte hai aur agar aapko koi important data ko private rakhna hai to aap encryption Process se usse secure bna sakte hai. Iss technique ki help se aapko pure device ko lock karne ki jarurat nahi padegi aur aap apni files ko private rakh payenge.
3. Data ko integrated rakhne ke liye
Encryption procces na sirf data ko secure karta hai par ye baat bhi dhyan rakhta hai ki user ki taraf se bheji gai file original hai. Original file me koi change nahi hoti hai iss process se.
Also read:-
Facebook se paise kaise kamaye? (हिंदी में )
Python kya hai? Python kaise sikhe? in hindi
Email marketing kya hai? || Email marketing kaise kare?
6 best coding apps jo aapko coding karna seekhate hai
Encryption ke Examples
Encryption ke bohot saare example hai. Ajj mai aapko encryption ke kuch examples batata hun.
1. Field level Encryption
Kisi bhi specific field ko encrypt karne ke liye field level Encryption ka istemal hota hai. Kabhi bhi online login karte time aap password ki jagah par aap field level Encryption hi dekhenge. Issi technique ki wajah se jab bhi aap password daalte hai to wo code ke form me convert ho jata hai. Websites ke page par kisi bhi important information jaise password, credit card number, debit card number ya bank account number waha bhi field level Encryption ka istemal hota hai.
2. End-to-end encryption
End-to-end encryption mainly Asymmetric Encryption ka hi type hai. Iss technique me message ko aise encrypt kiya jaata hai ki isse sender aur receiver ke alawa koi aur nahi read kar sakta hai chahe wo messages bhejne wali company ho ya wo government ho. End-to-end encryption messages bhejne ka sabse secure technique hai. End-to-end encryption ka sabse bada example Whatsapp messenger hai.
3. Network-level encryption
Network-level encryption me data ko iss tarah encrypt kiya jaata hai ki usse ek particular network ke log hi decrypt kar sake. Iss process me bohot saare tools aur techniques ka help liya jaata hai. Aur issme encryption ke 2 ya usse bhi zyada algorithm ka istemal kiya jaata hai taaki information bohot secure banaya jaa sake aur data easily receiver ke pass chala jaye bina kisi nuksaan ke. Kisi bhi IP based network me issi Encryption ka istemal hota hai.
Advantages of encryption
- Kisi bhi important information ko ek jagah se dusri jagah tak safely pahuchane ke liye encryption ek accha tarika hai.
- Kisi bhi device me files ki privacy ke liye encryption ka istemal kiya jaa sakta hai.
- Kisi bhi data ya information ki originality ko bachaye rakhne ke liye encryption sabse acchi technique hai.
- Data corruption, Integrity attack aur ransomware se bachne ke liye encryption ka istemal kiya jaata hai.
Disadvantages ko Encryption
- Kisi bhi data ko encrypt karne ke baad usse decryption key ki help se hi khola jaa sakta hai. Ese me agar decryption key kho jaaye ya bhul jaaye to user apna data kho sakta hai.
- End-to-end encryption ka istemal karke koi bhi insaan apni secret information ko ek jagah se dusri jagah tak bhej sakta hai. Ab jo messages encrypt hote hai to inhen message bhejne wali company, government ya koi dusra user bhi nahi read kar sakta hai. Ese me iss technology ka istemaal aatankwadi (terrorist) bhi kar sakte hai.
Terms related to encryption
- Plain text: Normal information jisse koi bhi read kar sakta hai.
- Encrypt: Wo information jisse code me convert kar diya hai aur usse ab read nahi kiya jaa sakta hai.
- Decrypt: Code me convert ki gai information ko dubara se normal text me convert kar, jisse koi bhi read kar sakta hai.
- Ciphertext: Jab plain text ko code me convert kar diya jaata hai. To inn codes ko Cipher text bolte hai.
- Key: Ek type ki chabhi jiske help se encrypted data ko decrypt kiya jaata hai.
To ye thi dosto encryption se related sari information. Mujhe lagta hai ki ab aapko encryption ke baare me acche se samajh aa gaya hoga.
Aapko ye article kaisa laga mujhe neeche comments me jarur btayen aur iss article ko share karen
Thanks for reading