Paytm से पैसे कैसे कमाए | Paytm se paise kaise kamaye | Uttam Jankari

Janiye Paytm se paise kaise kamaye. Paytm cash kamane ke kuch best tarike ke bare mein baat karege.

Uttam jankari mein apka suvagat hai. Aaj ham phir se apke liye ek aur important information laye hai. Aaj ham janege ki Paytm se paise  kaise kama sakte hai, Paytm kya hai, Paytm wallet kya hai aur iska use kaise kar sakte hai, Paytm ka ache se use kaise kare aur bhi bohut kuch isse related information sab ek hi jagah par. 

Paytm-se-paise-kaise-kamaye
Paytm se paise kaise kamaye

Yaha par ham mainly free Paytm cash kamane ke kuch best tarike ke bare mein baat karege. But usse phele hamko yeh janna bohut important hai ki Paytm kya hai jisse sabko basic jankari mil jaye start karne se phele.

Aaj ham in topics pe baat karege:-

1) Paytm kya hai 

2) Paytm wallet ka use kya hai 

3) Paytm se bank mein paise kaise bheje

4) Paytm ka use kaise karre

5) Paytm se paise kaise kamaye

Chaliye sabko ache se samjte hai:-

Paytm kya hai?

Paytm ek indian electronic payment company hai aur iska pura naam pay through mobile hai. Paytm ko banane wale ka naam hai Vijay Shekhar Sharma.  

Vijay Shekhar Sharma ( 1978 - present ) ek indian billionaire businessman hai jo Paytm ke founder aur ceo (chief executive officer) bhi hai. Yeh 2017 mein youngest indian billionaire bhi baan gaye hai with a net worth of $1.3 billion.

Paytm ko online mobile recharge website ke role mein 2010 August ko launch kara gaya tha aur aaj Paytm payment bank baan chuka hai.

Payment wallet

Paytm apko payment wallet ki service bhi deta hai jiske jariye ham mobile recharge, ticket booking, bill payment, DTH recharge etc kamo ko bohut hi asani se kar sakte hai. Paytm mobile wallet ki help se aaj online transaction karna bohut hi easy ho gaya hai. Apni life of cashless banane ke liye hame Paytm ka istemal zarur karna chahiye. 

Agar apne paas abhi Paytm nahi hai aur aap isko use nahi karte hai toh is post ke baad aap Paytm ke advantages easily smaj jaoge kyuki Paytm wallet or Paytm payment bank ko use karna bohut hi easy hai. 

Paytm wallet aur Paytm ka use kya hai?

Paytm ka use karke aap 10 - 12 types ke payments kar sakte hai. Followers kuch types ke payments hai jo sab log use kar sakte hai ya sabke kaam kabhi na kabhi a jate hai :-

  • Paytm se payment karna aur lena

Bohut aisi site hai jo Paytm se payment accept karti hai toh aap aisi sites par jake unki services use kar sakte hai payment ke baad aur apne dosto ya kisi aur se paise ke aur de sakte hai.Iske alawa aap Paytm se uber, jugnoo , meru etc online taxi services ki bhi payment kar sakte hai. Aap apne prepaid mobile ko Paytm ki help se recharge kar sakte ho aur postpaid ko bhi apne gharo mein reh kar easily kar sakte ho. Iske alawa aap sabhi tarah ke DTH ka recharge, electricity, train ticket, flight ticket or bus bills etc aur agar apki movies ka shok hai toh ab movies ticket ki payment bhi kar sakte ho. Aaj kal sab shopkeepers Paytm ki service rakhte hai aur aap easily usse use kar sakte hai waha par unka code scan karke. 

  • Paytm se bank mein paise kaise bheje

Aap Paytm wallet se sabhi tarah ki banks mein paise transfer kar sakte ho aur phir aap apne dosto ke Paytm wallet mein bhi paise bhej sakte ho. 

  • Paytm se online payment

paytm-se-online-payment
paytm se online payment

Paytm ko jyadatar sabhi tarah ke online payment accept karti hai toh aap jyada tar sabhi sites aur application mein Paytm ka use kar sakte ho. Apne Paytm mall ka naam suna hi hoga aap Paytm mall ko apne mobile mein install karke kisi bhi tarah ke saman ko buy kar sakte ho jaise ki aap Paytm se flipkart, Amazon etc se product buy kar sakte ho.

  • Paytm payment bank 

Aap Paytm ko sirf wallet ke role mein hi use nahi kar sakte ho balki ismein aap apna Paytm payment bank bhi open kar sakte ho. Dusre payment bank ki tarah Paytm payment bank bhi kam karta hai, aap yaha par paise deposit kar sakte ho aur withdraw bhi kar sakte ho aur iske sath-sath aap dusre banks se paise transfer bhi kar sakte ho. 

Paytm ko use kaise karre?

Paytm ko use karna bohut hi simple hai apko apne mobile mein play store se Paytm app download karna hoga. Iske baad apne mobile number se register karna hoga. Mobile number se register karne ke baad aap Paytm ko use karne ke liye eligible ho jate ho lekin isko aage aur jyada use karne ke liye ismein apko Paytm full KYC karni hogi jiske liye aap Paytm store par jaige. 

KYC free hota hai lekin iske liye apko Paytm store par hi jana padta hai, ek baar KYC ho jane ke baad aap Paytm ko continue use kar sakte ho. 

Paytm se paise kaise kamaye?

1) cashback ke jariye-

                                                                         

cashback-ke-jariye
cashback ke jariye

          

Paytm se mainly cashback ke role mein hamari bachat ( saving ) hoti hai aur yeh cashback sabhi tarah ke transaction mein milti hai aur jyadatar cashback buying se milti hai. Aap kisi bhi tarah ki buying karte ho toh payment pura hote hi apke samne ek pop-up ke role mein free recharge coupon ata hai. Us coupon se aap agle koi bhi recharge karke ya phir movie ticket ya train ticket book karke cashback pa sakte hai.Koi bhi transaction karne se phele aap uska cashback zarur check kare agar aap Paytm ko jyada se jyada use karte ho toh aap cashback se ache paise kama sakte ho. 

2) Paytm par khud ka product sell karre

Agar aapke pas koi product hai, toh aap apni dukan ke kisi bhi product ko Paytm par upload karke bech sakte hai. Iske liye apko Paytm seller partner program mein join karna hoga aur aap yaha par free account banakar apne product ko achi cost mein sell kar sakte hai.Jab aap apne product ko Paytm par upload karege aur koi Paytm par koi chiz buy karne ayege aur agar unko apka product acha laga toh isse apki chiz bhi aur sell hogi. 


Also read:-

Facebook se paise kaise kamaye? (हिंदी में )

Python kya hai? Python kaise sikhe? in hindi

Content marketing kya hota hai in hindi?(हिंदी में)

जानिए Domain name kya hai in Hindi?


3) Paytm ke product ko bechkar paise kaise kamaye 

Aap Paytm ke product ko bech sakte hai iske liye aap Paytm ke sath reselling ka kam kar sakte hai phir aap yaha se kisi bhi product ko uthakar online uske prices ko thora upar niche increase karke bech karte hai. Par yaad rakhe ki jyada prices ka na badaye warna iska koi benefit nahi hoga.Paytm par reselling ka kam bohut tezi se chal raha hai toh aap isse acha khasa paisa kama sakte ho. Iske liye apko Paytm ke kisi bhi product ke link ko apne affiliate marketing link mein convert karna hoga aur iske baad apko isse share karna hoga. Present mein jo bhi product jyada se jyada sell ho raha hai aap usko choose kar sakte ho toh aise mein aap use share karege toh uski bikri phele se bohut jyada achi hogi aur phir aap bohut ache paise kama sakte ho.

4) Paytm par promo code se paise kamaye 

Paytm, festival aur events ke arrival par promo code jari karta hai aap us promo code ke jariye mobile recharge, DTH recharge, ticket booking aur bhi dusre tarah ke transaction mein free cashback ka faida le sakte hai. Promo code mein mile huye cashback apke paytm wallet mein aate hai, toh aap khas karke festivals ya events ke time par in promo code ka advantage recharge ya bill payment ya shopping karte time kar sakte hai toh isko use karke iska benefit le.Paytm par bohut sare game bhi hai aap inn game se bhi paise kama sakte hai, Paytm ne ek gaming project start kiya hai iska naam hai Paytm first games. Iss game ko khelne ke baad agar aap jit jaye hai toh apko kuch as a gift milta hai toh aise mein aap thore bohut apne spare time mein yeh games khel kar, time pass karke paise kama sakte hai.

5) Happy box app

Happy box app download kar aap paise kama sakte hai. Aap is application mein different type ke work karke coins kamate hai jo paise convert ho jate hai. Apke wallet mein jo ata hai usse asani se cash mein covert kiya ja sakta hai. Iss app mein apko per person referal mein ₹7 milte hai. Iska sidha matlab yeh nikalta hai ki aap jitne jyada logo ko yeh refer karoge utna hi aapko jyada paise milege, jisko aap baad mein Paytm cash mein covert kar sakte ho.

6) Rozdhan app 

Rozdhan app download karne ke baad sign up karne par hi apko ₹25 milte hi aur agar app referal code dalte ho to ₹25 apko extra milte hai yani total ₹50 starting mein bina kuch kare apko mil jate hai. Aur aap in paiso ki Paytm se redeem karke use kar sakte ho. Yeh ek bohut achi application hai kyuki aap yaha par alag alag work karke paise kamane ka moka milta hai. Aap apne tasks ke kiye coins kamate hai aur inn coins ko har din mid night ko cash mein change kar diya jata hai. Par aap inn paiso ki tabhi nikal sakte hai jab apki pass total ₹200 nahi ho jate warna aap ko wait karna hoga ₹200 hone ka. 

7) Pocket charge 

Pocket charge application apko gift kamane mein help karti hai, yaha aap alag-alag app aur game try karke Paytm cash kamate hai, paise apke wallet mein 5-20 dino mein credit ho jayege.Pocket charge entertainment ke liye bhi ek bohut achi application hai aur users ko paise kamane mein bhi help karti hai, jab aapka invitation se aya friend paise kamata hai tab aap bhi paise kamate ho jo bohut achi baat hai aur interesting bhi.Toh is tarah aap Paytm se paise kama sakte ho aur unko use kar sakte ho.Toh ajj hamne Paytm ko use karna aur usse paise kamana briefly ache se dekh liya hai. Asha karte hai ki apko yeh information jaan kar acha laga hoga aur kahi na kahi value addition hua hoga. Milte hai next topic ke sath.

Thank you for reading