Google mera naam kya hai? | Mera naam kya hai batao? | Uttam Jankari

Google se kaise puche "Google mera naam kya hai" aur apne naam ko pta kare. Aurr bhi bohot sari jankari Google se related.

Google mera naam kya hai? | Mera naam kya hai batao? | Uttam Jankari

Kya aap Google se ye question pooch rahe hai ki " Mera naam kya hai?" ya "Google mera naam kya hai?" to ye post aapke liye bohot accha hoga kyoki isse post se aap jaan payenge ki Google se kaise apna naam pta kare. Iss post me hum aapko Google Assistant se apna naam puchna sikhayenge. 

Problem ye hai ki knowledge ki kami ki wajah se aap "Mera naam kya hai?" Google search engine se puchte hai jabki aapko ye question Google Assistant se puchna chahiye. Isiliye aapko apne question ka answer nahi milta hai.

Aaj logo ke paas jo bhi sawaal hote hai wo sare questions Google pe search karte hai. Itna hi nahi bohot saare log to Google ko entertainment ke liye bhi use karte hai. Aajkal log Google se ajeeb-ajeeb se questions puchte hai. Jiska aapko seedha answer nahi mil pata hai. Agar aap Google se puchte hai ki "Mera naam kya hai?" To Google Assistant aapko aapke account name ke basis par aapko aapka Naam bta dega.

Google ne voice Assistant ko introduce kia hai. Uske saath aap baat kar sakte hai. Aap apna Introduction de sakte hai, usse apne bare me bta sakte hai aur uske birthday ke baare me puch sakte hai. Aap apna ek Nick name bhi rakh sakte hai. Uske baad aap choose kar sakte hai ki Google Assistant aapko kisi naan se bulayegi. To chaliye jaante hai ki aap kaise Google Assistant se puch sakte hai "Google mera naam kya hai" ya Google ko apna naam kaise btaye?, Google se apna naam kaise puche? Kaise puche "Google aapka naam kya hai?".

Google mera naam kya hai?

Google se apna naam puchne ke liye pahle aapko Google assistant ko open karna hoga phir puchna hoga "Mera naam kya hai?" phir Google assistant aapko aapka naam bta degi.
Google-mera-naam-kya-hai
Google mera naam kya hai?

"Google mera naam kya hai?" Kaise puche.

Aap Google se puchna chahte hai ki aapka naam kya hai? 

Google se apna naam puchne ke liye sabse pahle aapko Google Assistant open karna hoga. Bohot sare new phones me Google Assistant pahle se hi hota hai. Aap isse apne phone me kuch time tak apne Home button (Jo beech me hoti hai aapke phone me gol si) usse press karke active kar sakte hai ya phir aap "Ok Google" ya "Hey Google" bolkar bhi active kar sakte hai. Google Assistant ko active karne ke baad aap apne questions puch sakte hai "Google mera naam kya hai" ya likh bhi sakte hai " "Google mera naam kya hai?" 

Google-mera-naam-kya-hai

Jaise hi aap puchenge ki mera naam kya hai to iske baad aapko Google Assistant se aapka naam sunne ko milega. Aap chahe to ek hi baar me bina Assistant khol, bol sakte hai "Ok Google, Mera naam kya hai?" Aapke "Ok Google bolne se Google Assistant active ho jayega aur phir uske baad "Mera naam kya hai?" sunega aur phir aapko aapka Naam bta dega.

Dhyan rahe ki pahli baar jab aap Google se apna naam puchenge to wo aapko aapke Google account ke basis par aapka Naam bta dega. Aap use koi dusra naam bhi bta sakte hai. Uske baad jab bhi aap puchenge ki "Google mera naam kya hai?" Ya "Mera naam kya hai Google?" Wo aapse aapke dwara btaye gaye naam ko hi btayega. Reality me jab aap usse new name btayenge to wo ek Nick name ki tarah save ho jayega.

Google ko apna naam kaise bataye? 


Google se koi aur naam bulwane ke liye ya Google ko apna NickName batane ke liye neeche diye gaye steps ko follow kare:-

  • Sabse pahle apne mobile me Home button (Beech wali gol button) ko press karke rakhe jisse Google Assistant active ho jaye.

  • Active kar lene ke baad Google Assistant se questions puche "Google mera naam kya hai?" Phir Google Assistant aapko aapke Google account ke basis par aapka Naam bta dega.


Google-mera-naam-kya-hai
  • Google ko naam badalne ke liye aap bol sakte hai. "Mera naam badal do"
Google-mera-naam-kya-hai
  • Iske baad Google Assistant aapse puchega ki "Theek hai, mai aapko kya kahkar bulau?"
Google-mera-naam-kya-hai
  • Iske baad aapko apna new naam bolna hoga. Jaise maine bola Shourya Tripathi.
Google-mera-naam-kya-hai
  • Iske baad jawab aayega "aap chahte hai ki mai aapko Shourya Tripathi kahkar bulau, kya yah sahi hai?"
  • Mera naam badal do ki jagah aap ye bhi bol sakte hai jaise mera naam Shourya Tripathi nahi hai.
  • Ab aapse pucha jayega ki "aap chahte hai ki mai aapko [Your name] se bulau, kya yeh sahi hai?" 
  • Ab aapko haa ya naa me answer dena hai uske baad aapka naam badal diya jayega. 
Agli baar se jab bhi aap puchenge ki "Google mera naam kya hai?" Tab Google aapko aapke naye naam btayega.

GOOGLE ASSISTANT se apna naam kaise pta kare? (Step by Step guide)

"Google mera naam kya hai?" Puchne ke liye sabse pahle aapko yah dekhna hoga ki aapke Device me Google Assistant active hai ya nahi. Agar aapke device me Google Assistant activate hai ya nahi. Agar aapke device me Android Version 7 ya usse upar hai to aap mobile me Google Assistant ka istemal kar sakte hai. Aajkal new smartphones me Google Assistant Inbuilt aata hai. Bass uski setup karne ki jarurat hoti hai.

Sabse pahle aap mobile ke samne "Ok Google" bole. Isse ye pta chal jayega ki aapke mobile me pahle se Google Assistant Setup hai ya nahi. Agar aapke mobile me pahle se Google Assistant Setup hoga to "Ok Google" bolte hi Google Assistant active ho jayega. 
Par agar aapke mobile me Google Assistant Setup nahi hoga to aap neeche diye gaye Steps ko dekh kar usse active kar sakte hai.

Google Assistant Setup kaise kare? (Step by Step)

  • Sabse pahle Google app khole. Uske baad neeche left side me diye gaye teen dots (more option) pe click kare.
Google-mera-naam-kya-haiGoogle-mera-naam-kya-hai
  • Iske baad settings par click kare. Uske baad Voice par click kare.

Google-mera-naam-kya-hai


  • Iske baad Voice Match par click kare. Aur "Hey Google" ko enable kare. Ab aapke saamne diye gaye ek aur naya page khul jayega.


Google-mera-naam-kya-hai

  • Page pe likha hoga ki "Access your Assistant with Hey Google" issi page ke neeche NEXT ka option hoga. Uspe click kare
Google-mera-naam-kya-hai
Google-mera-naam-kya-hai


  • Iske baad aapko agle page me do baar "Ok Google" aur do baar "Hey Google" bolne ke liye kaha jayega. Uske baad aapko Next par click karna hai.
Google-mera-naam-kya-haiGoogle-mera-naam-kya-hai


  • Ab Continue par click kare. Ab aapke paas ek "Saving Audio is your choice" message aayega. 
Google-mera-naam-kya-haiGoogle-mera-naam-kya-hai


  • Iss page par ye likha hoga ki kya Google aapki Audio ko save karle jab bhi aap questions puchenge? Taki Google aapko ek aur accha experience de sake jaise aapke kaam ke products dikhana, maps pe jagah dikhana aur bhi bohot kuch. Yaha aapki marzi hai ki aap chahte hai ki Google aapki Audio save kare ya nahi. Aapke paas do options honge. " Start saving audio" aur "Not now" aap apni marzi se ye kar sakte hai. Iss step ke baad aapko Google Assistant Setup complete ho jayega.


Ab aap Google se puch sakte hai ki "Mera naam kya hai?" Ya likh sakte hai "Mera naam kya hai" ya aap usse apne mobile se related ko bhi kaam karne ko bol sakte hai jaise "Ok Google, Alarm laga do" ya aap koi question puch skate hai.

Google Assistant ke kya features hai?

Google-Assistant-ke-kya-features-hai
Google Assistant ke kya features hai?

Google Assistant ke bohot sare new features update kiye gaya hai. Inn features ke baar me logo ko zyada pta nahi hai isliye wo uska use nahi kar paate hai. Aaj aapko Google Assistant ke features btaunga jinhe aap use kar sakte hai.
  1. Google Assistant ki help se aap Shayari aur jokes sunn sakte hai.
  2. Google ki help se aap Apna naam bhi pta kar sakte hai.
  3. Aap Google Assistant ki help se bina phone ko touch h kiye call bhi kar skate hai.
  4. Aap Google Assistant ki help se bina phone ko touch kiye kisi ko bhi message kar sakte hai.
  5. Aap Google Assistant se aaj ka mausam bhi puch sakte hai. Bass aapko bolna hoga ki, Google aaj ka mausam kaisa hai? Phir Google Assistant aapko mausam ki sari jankari de dega. 
  6. Aap Google se apne personal life ke baar me bhi baat kar sakte hai.
Aap bohot sare Google Assistant ke features ke Google Assistant ko istemal karte time jaan jayenge.

Google Assistant se konse questions puche jaa sakte hai?

  • Google mai kon se kapde pahnu (Aap Google se puch sakte hai ki aap konse kapade pahne).
  • Google Assistant ki help se aap apna rashi fal bhi pta kar sakte hai.
  • Google Assistant ki help se aap Call bhi kar sakte hai.
  • Google Assistant ki help se aap message bhi kar sakte hai.
  • Google Assistant ki help se aap news bhi sunn sakte hai.
  • Google Assistant ki help se aap cinema hall ke baare me bhi pta kar sakte hai.

Aap Google Assistant se kya kya kaam karwa sakte hai? (What can you do with Google Assistant)

Bohot sare log pta karna chahte hai ki Google Assistant kya-kya kar sakti hai aur wo Google Assistant se question puchte hai ki "Tum kya kar sakti ho?" Aap bhi jab ye question puchenge to aapko aapke question ka answer pura nahi milega. Isliye hum yaha aapko Google Assistant ke qualities btane wale hai jisse aap jaan sake ki Google Assistant kya kar sakti hai.

Google Assistant ek Google ki team ki taraf se bnaya gaya program hai. Isse Virtual Assistant bhi bola jaa sakta hai. Isme kisi bhi Android phone ya koi dusre Smartphones ko ya phir aur bhi device jaise smart T.V ko control karne ka potential hai. Google Assistant se kisi bhi device ko control karne ke liye aapko sirf Voice Commands dena hota hai.

Aap Google Assistant ki help se bohot sare kaam kare skate hai jaise. Aap whatsapp par ek message type kar skate hai, call kar sakte hai, reminder laga sakte hai, Alarm laga sakte hai, aap Google par kisi bhi cheez ke baare me pta laga sakte hai ya aapne questions ke answers search kar sakte hai. Ye sab kaam aap bina phone ko touch kiye kar sakte hai.

Aap Google Assistant ki help se easily pta laga sakte hai ki aapka naam kya hai ya koi dusra question bhi puch sakte hai jaise "Google mera naam kya hai?" Ya "Google mera ghar kaha hai?" Ya "Google meri age kya hai?" Ya "Google mera mobile number kya hai?" ya "Google mera birthday kab hai?" Ya aap Google se koi chutchula (joke) sunane ke liye bhi kah sakte hai. 

Neeche btaya gaya hai ki aap 

Google Assistant ki help se kya-kya kaam sakte hai:-

Google Search karna: kuch hi seconds me aap Google par kisi bhi tarah ka question sirf bol kar hi uska answer paa sakte hai 

Reminder set karna: Agar aapko ek fixed time par reminder set karne hai to aap Google Assistant ki help se reminder set kar sakte hai. Bass aapko bolna hoga " Hey Google, set a reminder" phir aapko apna time btana hoga aur phir aapka reminder set ho jayega.

Alarm set karna: Jaise aapne reminder set kia tha waise hi aap ek Alarm bhi set kar sakte hai. Bass aapko bolna hoga "Hey Google, set an alarm" aur phir aapko apna time btana hoga iske baad aapka alarm set ho jayega.

Message karna: Aap Google Assistant ko voice command dekar apne kisi bhi dost, rishtedar, family ya office me kisi ko bhi message bhej sakte hai. Iske liye aapko bolna hoga "Hey Google, Message ________(apne dost ka naam)" phir Google Assistant aapse kuch questions puchenga jaise ki kya message bhejna hai, konse aap ka use karna hai. Inn questions ka answers aap apne hisaab se de sakte hai. Uske baad aapka message aapke dost ko chala jayega. 

Call karna: Jaise aapne apne dost ko message bheja waise hi aap apne dost ko call bhi kar sakte hai Google Assistant ki help se. Bass aapko bolna ho ki "Hey Google, Call _____(Apne dost ka naam)" iske baad aapki call lag jayegi aur aap apne dost se baat kar skate hai. 

Apps ko open karna: Agar aap YouTube par koi video dekhna chahte hai ya kisi dusri Application ka use karna chahate hai, to hum uss Application ka naam " Ok Google" bolkar open kar sakta hai. Jaise "Ok Google, open YouTube" 

Google Map par kisi jagah ka pta lagana: Google Assistant ki help se aap Google par diye gaye kisi bhi jagah ka pta laga sakte hai. Aap aapne ghar ke pass me jo restaurants, shops, mall ya kisi bhi jagah ke baar me pta laga sakte hai. Jaise "Hey Google, mere ghar ke pass restaurant btao" iske baad Google Assistant aapke ghar ke pass me jo bhi restaurant  Google maos me show hote hai unke naam bta dega. 

Notification ko read karna: Aap Google Assistant ki help se aapke phone mee jo bhi notification aaye hai unhe read kar sakte hai wo bhi bina phone uthaye. Har din hamare phone pe bohot saari notification aati hai. Unhe ek ek karke read karne me bohot time jaata hai. Aap Google Assistant ki help se ye kaam jaldi se khatam kar sakte hai

Music chalana: Aap Google Assistant ki help apni pasand ki language me music play kar sakte hai. Aap music play hone ka order bhi change kar sakte hai.

Inn sab kaamo ke alava aap Google Assistant ki help se bohot sare kaam kar sakte hai.

Also Read:-

जानिए Backlinks kya hai? || High quality backlinks kaise banaye?

Content marketing kya hota hai in hindi?(हिंदी में)

जानिए Domain name kya hai in Hindi?

Facebook se paise kaise kamaye? (हिंदी में )


Google se puche jaane wale kuch questions

Aapka naam kya hai? 

Google kaa naam Google hi hai aur agar aap ye question Google assistant se puchte hai to ki "Tumhara naam kya hai" Tab Google Assistant apna naam btayegi. Google Assistant ka naam Sean Anderson aur Koller Writes ne rakha tha. 

Mera pura naam kya hai?

Jab bhi aap Google Assistant se puchenge ki " Mera pura naam kya hai?" , Tab Google Assistant aapko wahi naam btayegi jo naam aapne Google ko bta rakha hai ya wo naam jo naam aapne Google Account me save kia hai. Agar aap chahate hai ki Google aapko nic name ki jagah aapko aapke full name btaye to aapko pahle apna pura naam btana hoga

Mere dost ka kya naam hai?

Google se apne dost ka naam bulwane ke liye pahle aapko Google ko aapne dost kaa naam btana hoga. Iske liye aap apne dost ka naam Google Assistant ko bta de. Example ke liye:- "Mere dost ka naam Aman hai". Tab Google Assistant ka answer aayega ki "Theek hai, mai yaad rakhungi". Iske baad se aap jab bhi Google se apne dost ka naam puchenge to wo aapke dost ka naam bta dega.

Mere papa ka kya naam hai? 

Aap Google ko apne mummy papa ka bhi naam bta sakte hai. Iske baad aap jab bhi puchenge ki Google mere mummy ya papa ka naam btao tab Google aapko aapke mummy papa ka naam bta dega. Aap easy language me Google ko bta sakte hai ki aapke papa ka kya naam hai? Iske liye aap bol sakte hai ki Google mere papa kaa naam save karo. Aap Google ko ye bhi bol sakte hai ki Google mere daddy ka naam kya hai?, Google mere father ka kya naam hai?, Google mere pita ji ka kya naam hai?

Mere bhai ka kya naam hai?

Jiss tarah aap Google ko batate hai ki aapke papa, dost, mummy ya aapka kya naam hai usi tarah aap ye bhi Google ko bta sakte hai ki aapke bhai ka kya naam hai. Iske baad jab bhi puchenge ki mere bhai ka kya naam hai tab Google aapko aapke bhai ka naam bta dega.

Meri wife ka kya naam hai?

Apni wife kaa naam pta karne ke liye aapko pahle Google Assistant ko btana hoga ki aapki wife ka kya naam hai. Uske baad se jab bhi aap puchenge ki "Google, meri wife ka kya naam hai?" Tab Google aapko aapki wife kaa naam bta dega

Google ke bare me FACTS 

1.Google ka birthday kab hai?

Google ka birthday 27 September ko celebrate kiya jata hai. Google ko 1998 me establish kiya gaya tha par Google ko 1996 me hi Google start ho gaya tha.

2. Google ka naam Google kaise pada?

Reality me Google ke developers Google ka naam Googol rakhna chahte the. Par ye naam pahle se hi kisi ne rakha tha isliye phir uska naam Google rakh dia gaya.

3. Google ke employees ko company death ho jane par employee ki wife ko uski half salary 10 years tak aur uske baccho ko 1000 dollar per month jab tak wo 19 years ke nahi ho jate.

4. Kya aapko pta hai ki 1997 me Yahoo Google ko khareedne wala tha wo bhi bass 2 million dollars me.

Conclusion

Aaj humne jana ki aap apna naam kaise pta kar sakte hai Google se

Dosto Google Assistant ke bohot sare features hai, aap inn sabhi features ke baar me tabhi jaan paaoge jab aap Google Assistant khud istemal karenge. 

Google Assistant hamare Internet ko use karna bohot easy kar deta hai kyoki aap bass apni aawaz ki help se pure Internet pe kahi bhi jaa sakte hai.

Yaha tak read karne ke liye Thank you. Agar aapko ye post aacha laga to isse zarur share kare. Aur agar aapko kuch puchna hai to aap comments me puch sakte hai.