उंगलियों का नाम हिंदी और अंग्रेजी में | Fingers name in hindi | Uttam Jankari

Finger names Hindi English- अंगूठा (Thumb) तर्जनी (Index Finger) मध्यमा (Middle Finger) अनामिका (Ring Finger) कनिष्ठा (Baby Finger)

Dosto, aaj hum janenge ese topic ke baare me jiske baare me pta hona bahut jaruri hai. Agar aap ye janna chahte hai ki fingers ko hindi me kya kaha jata hai (Fingers Name in hindi) fingers ke naam hindi me janiye wo bhi easy language me inke hindi me naam kya hai (five fingers name in hindi) aur inka matlab kya hai. Aaj inke baare me vistaar se btaunga iss article me last tak bane rahiye to aapko saari jankari mil jayegi.

Dosto, agar hum chote hote hai to hum school me padai karte hai aur usme bahut mann lagakar pardte hai lekin kabhi kabhi hum padhi hui cheeze bhool bhi jaate hai jaise Fingers name in hindi. Aap fingers ke baare me detail me btana chahte hai agar aapko koi puchta hai to aap dariye nahi kyoki mai aapko bahut detail me inki knowledge dene jaa raha hu. 

Aap dekhte honge ki jo chote bacche hai wo Finger name ko yaad kar lete hai bahut aasani tarike se kyoki junior class me book me photo ke sath naam likha rahte hai jisse bacche photo ko dekhkar naam yaad rakh lete hai lekin me aapko abhi puri jankari dunga.

Fingers-name-in-hindi
Fingers name in hindi

Fingers name in hindi

Human body ke har organ ka ek fixed kaam hota hai. Fingers ko hindi me ungliyan bolte hai hamare body me 4 ungliyan aur ek thumb hota hai.

Sabse pahle hamara angutha jise hum english me thumb kahte hai. Fir index finger jise hum hindi me tarjni kahte hai. Fir middle finger jisse hum hindi me madhyama kahte hai. Fir Ring finger usse hum hindi me anamika ungali kahate hai. Fir sabse choti ungli jisse hum little finger ye baby finger bhi kahte hai usse hindi me kanishth ungali kaha jata hai. Ye ho gai inn panchon ungaliyon ke hindi me naam ab aapne ungaliyon ka naam hindi me jaan liya hai hoga aur ab hum iske baare me vistar se baat karenge. 


Finger names:-

HindiEnglish
अंगूठाThumb
तर्जनी Index Finger
मध्यमा Middle Finger
अनामिका Ring Finger
कनिष्ठा Baby Finger

1. Thumb - Angutha

Sabse pahle hum anguthe ke baare me baat karenge jise English me thumb kahte hai. Jab hum kisi bhi cheez ko pakadte hai ya uthate hai to angutha ek main support deta hai hum apne anguthe ke bina support ke koi cheez ko utha nahi sakte hai.

Kya aap jante hai ki hamare anguthe ka seedha relation hamare lungs se hota hai. Aur jab hum anguthe ko massage karenge to hamare fast heartbeat ko kamm kiya jaa sakta hai. Ye ek home remedy hai apna heart beat kamm karne ki. Hamare anguthe ko agni tatv se juda mana jaata hai aur ye aapke behaviour ka mirror mana jaata hai. Body language experts aapke anguthe ko dekhkar aapke baare me bahut kuch bta sakte hai.

Jinn logo ko haath ki rekhaye read karna aata hai wo aapke anguthe ko dekhkar aapke behaviour ke baare me bahut kuch bta sakte hai jaise ki aapki wishes, aapki feelings aur aapki knowledge.

Jis bhi person ka angutha chota ya weak hota hai to mana jaata hai ki uss person ki intellectual power bohot kamm hoti hai aur jiss person ka angutha normal se jyada developed hota hai to uss person me intellectual aur mental power zyada hoti hai. Hamare haath ki rekhao ka gyan hamare anguthe se bohot zyada related hota hai.


Also read:-

Computer kya hai? | What is the computer in hindi?

Lily Flower Information in Hindi

जानिए Backlinks kya hai? || High quality backlinks kaise banaye?

Google ka full form kya hai | Google full form in hindi


2. Index Finger - Tarjani Ungali

Index-Finger-Tarjani-Ungali
Index Finger - Tarjani Ungali

Ab baat karte hai index finger ki jisse hindi me tarjani ungali bhi kahte hai. Jab bhi hum koi kaam karte hai to iss ungali ka istemal bahut hi zyada karte hai. Jab bhi hum kisi cheez ki taraf ishara karte hai ya kisi person ki taraf ungali dikhate hai ki hum uss cheez ya person ke baare me baat kar rahe the tab hum index finger ka hi istemal karte hai.

Jab bhi hum likhte hai to pen ko pakadne me bhi iska istemaal karte hai. Tarjani ungali vaayu tatv se juda hota hai. Bola jaata hai ki jab bhi aapke stomach me dard ho to iss ungali ko halka sa pressure dene se aapka dard gaayab ho jayega kyoki index finger intestinal tract se connected hoti hai.

Haath ki rekhao ke hisaab se first part se person ki ethics aur second part se person ki intelligence aur third part se mental ka pta chalta hai. Hamari tarjani ungali ke neeche utha hua ek part guru parvat ko dikhata hai aur jiss bhi person ki tarjani ungali bahut choti hoti hai ye underdeveloped hoti hai to uss person ko cruel aur selfish mana jaata hai. Aur agar index finger lambi aur ubhari hui hoti hai to uss person ko dayalu mana jaata hai. Ungali ke baare me yoga me bhi bola gaya hai. Tarjani ungali aur angutha ko touch karne wali mudra ko gyan mudra bolte hai aur ye hamare mann ko saaf karta hai aur hamare gyan ko badata hai.


3. Middle finger - Madhyama ungali

Ab hum baat karenge madhyama ungali ke baare me. Hum middle finger ko hindi me Madhyama ungali kahte hai. Ye ungali hamari tarjani ungali ke bagal me hoti hai. Madhyama ungali Aakash tatv ko represent karta hai. Iss ungali ka istemal kisi ko chota dikhane ke liye ya kisi ko disrespect karne ke liye kiya jaata hai.

Iss ungali par massage karne se hamara blood circulation bahut accha hota hai aur kabhi bhi chakkar aane se rahat milti hai. Haath ki rekhao ke hisaab se ye ungali shani parvat ko represent karta hai aur iss ungali ke mool me shani par detail hota hai. Jiski wajah se isse shani ungali bhi bola jata hai. Agar iss ungali ki development normal hai to person me pyar ki quality aur culture hota hai ye ungali naa hi zyada badi aur naa hi zyada choti honi chahiye tab isse perfect kaha jaata hai.


4. Ring finger - Anamika Ungali

Ring-finger-Anamika-Ungali
Ring finger - Anamika Ungali

Ab hum baat karenge ring finger ke baare me jisse hindi me hum Anamika ungali kahte hai ye ungali beech ki ungali aur sabse choti ungali ke beech me hoti hai. Hum isse ring finger isliye kahte hai kyoki issi ungali me log ring pahante hai.

Jo log jyadatar har baat par gussa ho jaate hai ya unki mental state stable nahi rahti hai to wo iss ungali par halka sa massage kare aur kheeche isse jaldi aapko aache results milenge aur aapka mood accha ho jayega jin ki anamika ungali bahut acchi hoti hai wo log poet, artist aur cultural activities me bahut aage rahte hai. Unn logon me Dharam aur superstition bohot hota hai. Jinn logon ki Anamika ungali me bahut saare kaam rahte hai unhe knowledgeable aur expert mana jata hai.

Agar aapke Anamika ungali ke nails par white spot hai to mana jaata hai ki aapke ghar me changes aayenge par agar aapke Anamika ungali par black spot hai to mana jaata hai ki aapki wajah se aapke ghar me badnaami hogi.


5. Little Finger - kanishtha Ungali

To dosto ab hum baat karenge hamari sabse choti ungali ki. Little finger ko hindi me kanishtha ungali kaha jaata hai aur English me little finger kahte hai ye ungali sabse choti ungali hoti hai ye ungali jal tatv se judi hoti hai aur iska relation hamari kidney se hota hai.

Jin logon ki kanishtha ungali par white spot hota hai uska matlab ye hota hai ki business me bahut success milegi par agar kanishtha ungali me black spot hota hai to iska matlab ye hota hai ki business me bohot failure milegi

Agar kabhi aapke sar me dard ho to aap apni choti ungali ko massage kare isse aapko accha lagega aur dard kamm ho jayega.

Conclusion

To dosto, aaj humne jana liye ki hamare body ki pancho ungali ko hindi me kya kahte hai (five fingers name in hindi) aur hamne har ungali ke baare me bhi jana ki unka kya kaam hai aur wo kis tatv ko represent karti hai.

Mujhe lagta hai ki iss article se aapko pta chal gaya hoga fingers name in hindi. Aapko ye article kaisa laga hame comments me jarur btaye aur iss article ko apne dosto aur family ke sath share kare.

Thanks for reading