Lily flower in hindi | Lily Flower Information in Hindi | Uttam Jankari
Lily flower ek bohot beautiful flower hai jo puri duniya me famous hai. Ye alag alag colours aur species me paya jaata hai. Inki sundarta ki vajah se inki farming saari duniya me hoti hai. Lily ka use mainly decoration ke liye hota hai. World me isse kisi shadi ya kisi important event me diya jaata hai. Iske flower chote hote hai aur dekhne me bohot attractive aur beautiful hote hai.
Lily Flower Information in Hindi |
Aaj hum isi Lily flower ke baare me aapko jankari denge.
Lily ka flower
Lily ke flower ko duniya ke bohot saare country me grow kia jaata hai mainly India, USA, Canada, Japan aur china me. Lily ke flower ka alag hi aroma hota hai. Lily flower ka istemal Ayurvedic medicine me bhi kiya jaata hai.
Lily farming
Lily ki farming ke liye mild climate ki jarurat hoti hai. Lily ki farming sahi climate aur open fields me ki jaa sakti hai par open fields me farming karne se winds, storms aur diseases ka khatra hota hai. Lily ki farming ke liye kamm sunlight aur 12-13 degrees ka temperature important hota hai aur usse zyada temperature hone par Lily ke stem ki length ruk sakti hai. Lily ka plant lagbhag 5 saal tak rahta hai.
Lily flower ko lagane ke liye aapko hamsha subah ka time choose karna chahiye. Plant lagane ke liye hamesha fresh soil choose kare. Plant lagne ke baad usse acche se pani de taki mitti acche se gili ho jaye. Par jab plant bada ho jaye tab itna ki pani de jisse gamle me moisture rahe.
Benefits of Lily and uses - Lily ke faide aur upyog.
Lily flower ko ghar me aur garden me lagaya jaa sakta hai. Lily ko apne garden ya ghar me lagane se aas pass ke hawa saaf hoti hai kyoki Lily flower hawa ko bohot acche se saaf kar sakta hai.
Carbon monoxide jaisi poisonous gas ko bhi ye plant acche se clean karta hai. Iss plant ko aap easily grow kar sakte hai.
China aur Japan me Lily ko khane me bhi istemaal kia jaata hai.
Lily ka plant ko ghar me kaise lagaye?
Lily ka plant aap 2 tariko se lagaya ja sakte hai:-
- Seeds se
- Bulb se
Lily ko seeds se grow karne se plant me bohot dino baad flowers aate hai. Lily ko bulb se grow karna easy bhi hai.
Bulbs se Lily ko grow karne ke liye aapke pass Lily ke bulb hone chahiye. Aap inn bulbs ko online ya kisi store se bhi kharid sakte hai. Ye bulb bohot tarah ke hote hai. Ye alag alag colour ke flower dete hai inke species ke basis par.
Bulb ke baad aapke gamle ki mitti ko taiyar karna hoga. Aap gamle ki mitti ko cow ya buffalo ke gobar se ya purani manure se bhi taiyar kar sakte hai. Aapko gamle ke neeche ek hole karna hoga jisse extra water bahar nikal jaaye.
Gamle me mitti bhare aur Lily ke bulb ko approx 4-5 inches neeche laga de. Aur thoda paani daal de. Uss gamle ko kamm sunlight wale jagah rakhiye.
Lily ke plant ki kaise care karen?
Lily ke plant ko lagane ke baad uska growth aur maintenance karna bohot zaruri hai. Lily ke flower wale gamle me jarurat ke hisab se hi pani dale, zyada pani dalne se plant kharab ho sakta hai.
Jyada dhoop bhi plant ko lagani nahi chahiye kyoki zyada dhoop se plant dry hokar marr jayega.
7 days me ek baar manure daale.
Lily flower ke colours aur species ke anusar alag-alag emotions hote hai.
White Lily - Isse Easter Lily bhi bolte hai . Ye clean, innocent, sacred, hope aur goodwill jaise emotions ko dikhata hai.
Pink lily - Ye Prosperity ka symbol hai. Ye shadiyon, birthdays aur dusre events ke liye ek accha gift hai.
Orange Lily - Isse apne beautiful petals ki wajah se tiger Lily bhi bola jaata hai. Ye confidence aur Prosperity ka symbol hai.
Yellow Lily - Yellow Lily happiness aur acche health ka symbol hai.
Red Lily - Red Lily romance, love, hope aur courage ka symbol hai.
Questions related to Lily flower - Lily se jude kuch questions.
Lily ko hindi me kya bolte hai?
Lily flower ko hindi me kumudini (कुमुदिनी) kahte hai.
Lily flower ka scientific name kya hai?
Lily ke plant ka scientific name lilium hai.
Also Read:-
जानिए Backlinks kya hai? || High quality backlinks kaise banaye?
Email marketing kya hai? || Email marketing kaise kare?
6 best coding apps jo aapko coding karna seekhate hai
Python kya hai? Python kaise sikhe? in hindi
Lily ka flower kaisa hota hai?
Lily flower ka colour unke species par depend karta hai. Jyadatar Lily flower ka colour red, white, pink aur orange hota hai. Lily ka flower zyadatar cup ki shape me hota hai jisme 6 petals hote hai.
Lily ke beech me kya hota hai?
Lily flower ke beech me ek chota sa female flower part hota hai jise pistel bolte hai. Issi female part ki wajah se pollination hota hai.
Lily flower kis season me khilta hai?
Winter ke start hone ke sath-sath Lily bhi khilna shuru ho jata hai. Aur Lily ka flower march ke beech tak khilta hai aur jab Lily ka plant kilta hai tab aas pass ka environment accha aur clean ho jaata hai.
Lily ka flower important kyo hai?
Lily flower ke colours ke according alag-alag meaning hote hai. Zyadatar log Lily ko pavitrata ka pratik mante hai aur iss flower ko Greece me punarjanm aur death se connected maante the. Par bohot saalo se Lily flower ko shadiyon me istemal kia jaata hai jiska matlab 'pyar ka bandhan' hai isiliye Lily ke flower ko important mana jaata hai.
Lily ka flower kaha se aaya hai?
Generally Lily flower ko America, east Asia aur Europe me bohot saalo se grow kia jaa raha hai.
Kis type ka Lily flower reality me Lily nahi hai?
Lily ka plant reality me lilium genus ka hai. Inhe blub se grow kia jaata hai lekin Lily ki kuch aise bhi types hai jaise de lily, kena Lily jinko blub se nahi grow kia ja sakta hai issi wajah se ye dusre genus ke plant hai par inhe bhi Lily hi kaha jaata hai. Par reality me Lily ke plant nahi hote hai.
Lily flower ke baare me facts...
- Lily flower pure saal khilne wala flower hai.
- Lily flower duniya bhar me lag bagh 100 species me paaya jaata hai.
- Lily flower ka colour red, white, pink aur yellow ho sakta hai.
- Lily plant ki length ground se 2-6 feet tak ho sakti hai.
- Lily ki kuch species ko tiger Lily bhi kaha jaata hai. Inka colour orange hota hai aur inn par tiger jaise spots hote hai.
- Lily ke flower me 6 petals hote hai inke andar ek meetha juice paaya jata hai jise nectar kahte hai.
- Lily apne beautiful colours aur sweet juice ki wajah se insects ko attract karta hai.
- Lily ke bulb me zyada starch hota hai isiliye inhe vegetable ki tarah bhi istemal kiya jaata hai.
- Lily ke flower ka use bohot saare Asia ki countries me ek medicine ki tarah bhi kiya jaata hai.
- Lily se nikale gaye oil me healing aur softening ki visheshta hoti hai. Ye oil dry skin ko heal aur soft karne ke liye kia jaata hai.
- Lily ke kuch species dogs aur cats ke liye poisonous hote hai. Ye unki kidney ko damage kar sakta hai.
Agar aapko ye post accha laga to hame comment karke zarur btaye.
Thank you for reading