Content marketing क्या है और कैसे करते है? | Content marketing kya hota hai in hindi?

Traditional marketing ab kam effective hoti ja rahi hai, isliye ek acche marketer ki tarah aapko content marketing kya hai pta hona chahiye...

Content Marketing kya hai???

content-marketing-kya-hai
content marketing kya hai???

Content marketing ek strategy hai jo focus karta hai valuable, relevant aur consistent content ko bnane aur distribute karne me jisse aap profitable customers ko attract kar sakte ho.

Useful content aapke marketing ka main cheez hota hai. Apne products ke bare me batane ki bajaye aapko useful aur relevant content dene chahiye jisse aapke customers ki help ho.
 

Content marketing ki jarurat

Traditional marketing ab kam effective hoti ja rahi hai, isliye ek door ki sochne wale marketer ki tarah aapko bhi content marketing ke bare mai janna chahiye.
 

Content marketing ko leading brands use karte hai

 
Research ne bataya hai ki majority marketers content marketing use karte h. Infact organisations like microsoft,, P and G. Cisco systems, aur john deere  bhi content marketing use karte h.
 

Content marketing ke kya benefts hote hai???

                                          
Content marketing ke teen main benefit hai:-
  1. Increased sales
  2. Cost savings 
  3. Better customers jinki  jyada loyalty hai
CONTENT MARKETING HI MARKETING KA PRESENT AUR FUTURE DONO HAI

Ek baar aur content marketing ki definition ko read kariye par iss baar relevant aur valuable ko hta dijiye. Yahi hai difference content marketing aur dusri information jo aapko internet pe milti hai. Companies aapko har time koi na koi information deti rahti hai par uspe dhyan nahi dete kyoki wo aapke liye relevant aur valuable nahi hai.

5 Content marketing ke examples


Bohot saare tarah ke content marketing ke tarike hai kyunki content bhi bohut h. Mai chahta hu ki aapko ek introduction de du taki aap bhi ek marketer ki tarah soch pao aur aapko har jagah opportunity dikhe. To ye hai...                                  

1. Infographics. ye generally lambe, seedhe graphics hote hai jisme charts, statistics, graphs aur dusri information hoti hai. Infographic ek bohot accha ho sakta hai agar wo social media par share kia jaye. Aap ek professional infographic designer ko hire kar sakte ho oDesk naam ki website se ya aap Vidya.ly naam ki company paas bhi jaa sakte ho. A theek-thaak infographic lagbhag 1000 dollars ka ho sakta hai aur agar aap kisi agency ya company se baat karte ho to isse bhi zyada ho sakta hai kyoki wo apni strategy, planning, research, copyright aur design ko use karenge. Aapko use infographic ko promote bhi karna padega blogs aur social media par. Aap ek Pinterest ka pin bna sakte ho iss kaam ke liye.

2. Webpages. Normal webpages aur Content Marketing Webpages ke bohot difference hai. Kyoki agar aap kisi Webpage ko acchi tarah se likhte hai aur uski acche se SEO karte hai to aap bohot sare logon ko apne website ki tarah attract kar sakte hai kyoki wo webpage easily Rank ho jayega jo aapke brand ke liye bohot accha hai.
3. Podcasts. Content marketing me podcasts bohot zaruri hai. Ye aapke contents ko logon ke samne ek aache tarike se present karta hai jisse jyada se jyada log aapke topic ko jaan paate hai. Isse aapke brand ki publicity bhi hoti hai.

4. Videos. Text ke comparison mai videos jyada attractive hoti hai aur isse easily share kia jaa sakta hai. Videos me customer aapke content ko acche se samjhte hai. Isse bhi aapke brand ki value increase hoti hai.

5. Books ya Text. Text ek bohot important tarika hai content marketing ke liye, yaha marketers acche content ko likh kar logon ko apni taraf attract karte hai, vaise aap Books ka use ek Marketing tool ki tarah bhi kar sakte hai, isse aapka Brand value increase hota hai aur logon ko aap pe trust hota hai. 

Jitne tarah ke content hote hai utne hi tarah ke content marketing hoti hai.

Kitne types ke content hote hai?


Content ko hum 5 types ka bol sakte hai.

1. Written

                                             
written-content
written

  • Blog articles.
  • Product descriptions.
  • Landing pages.
  • Press releases.
  • Long-form guides.
  • FAQs.
  • Email copy.
  • Ad copy.
  • eBooks.
  • White papers.
  • Case studies.

2. Video

                                            
video-content
video

  • Video blogs.
  • Studio production.
  • On-location video.
  • Vox pops.
  • Video interviews or testimonials.
  • Animations.
  • Web demos.
  • Product demos.
  • Corporate promos.
  • Event footage.
  • GIFs.
  • Virtual reality and augmented reality.

3. Graphics

  • Infographics.
  • Custom illustrations.
  • Calls-to-action.
  • Content formatting.
  • Wireframes and site mockups.

$. Social

  • User-generated content.
  • Hashtag campaigns.
  • Complementary social posts.
  • Quizzes.
  • Polls/surveys.
  • Contests.

5. Audio

                                           
audio-content
audio

  • Podcasts.
  • Webinars.
  • Recorded interviews.

Content marketing jaruri kyo hai?

Ab ye baat aati hai ki content marketing jaruri kyo hai? Dekha jaaye to content marketing kya hai isse jyada zaruri ye samjhna hai ki ye content marketing kyo jaruri hai?

Importance of content marketing:-

1. Visitors ke sath trust build karne ke liye. Example ke liye ek personal trainer Apne experience ke basis per Apne online readers ka trust increase karta hai. Jitna zyada se zyada content aap banaoge aur share karoge apni target audience ko utna hi acchi aapki authority hogi uss field me. Log expert par Jyada Bharosa karte hain aur hire karte hain apni problems ko solve karne ke liye.

2. Brand awareness bnane ke liye. Aap content marketing ko use Karke Apna traffic Badha sakte hain. Aap consistent quality traffic for inbound links pa sakte hain apni website ke liye Jo aapke brand ko expose Karega aur Logon Ko aapke brand ke bare mein pata chalega.


3. Organic traffic paane ke liye (SEO). Jab aap apna browser kholte hain aur koi keyboard ya phrase type karte hain to search engine ko mehnat karni padti hai aapko sabse jyada relevant information dene ke liye. Jab aap expert content banate hain jo useful aur valuable hai aapke target buyers ke liye tab Google ko pta chal jata hai ki aap useful content provide kar rahe hain jo logo ki query ka answer deta hai tab aapka content Jyada upar rank karega search results me.

4. Logon ko reason deta hai aapke paas dubara aane ke liye. Jab aap logon ko helpful aur informative content provide karte hain tab aap ek accha relation banate hain apne customers ke sath. Aap ek trusted resource ban jaate hai aur log aap ki website per wapas aate hain kyunki unhe aap par trust hai.

5. Brand authority bnane ke liye. Agar aap accha content provide karte hai to yah pta chalta hai k aap me ability hai auron se accha karne ki. Aapki target audience ko answer milta hai apne questions ka unhen pta chalta hai ki aap best content provide karenge unhen to aapki brand ke authority increase hoti hai.

6. Backlinks bnane ke liye. Agar aap expert content banaenge to dusri website aapko link karenge aur share karenge aapka content aapki site ke linking se aapki audience 2,5 ya 100 times tak increase ho sakti hai. Backlinks ka sabse bada benefit ye hai ki search engine backlink ko ek criteria mante hai aapki site ko rank karne ke liye. Agar koi badi site aapko link karti hai to aapke visitor's bhi badenge aur aapki page authority bhi badhegi

Kaise start kare content marketing?

    
                                          
kaise-start-kare-content-marketing?
kaise start kare content marketing?

                                             
Bahut sari companies offer karti hain content marketing services SEO Aur PR ke sath. Agar aap bahut busy hai ye khud se karne ke liye ya aap ready nahi hai content marketing ko manage karne ke liye to ek company se contact karna best option hai. Par agar aap content marketing khud se karna chahte hain to blogging best tarika hai. Starting mein yah aapke liye mushkil hoga par dheere-dheere aapko acche se aa jaega. Aap tips le sakte hai websites jese Copyblogger se ki kaise jaldi content banaye apne blog ya website ke liye jo jyada readers ko attract karta hai.



To iske sath humne aapko puri jankari de di hai content marketing ki. Agar apko kuch puchna hai to hame comment kare. Ye article agar aapko pasand aayad to isse share kare.

Thanks for reading