Wifi ka full form in hindi || Wifi फुल फॉर्म || Uttam Jankari

Janiye wifi ka full form kya hota hai. Wifi, jisse wi-fi bhi kahte hai wo ek local area network hota hai.

Wifi ka full form kya hai?

Wifi-ka-full-form-kya-hai
Wifi ka full form kya hai


Ye ek bohot common misunderstanding hai ki wifi ka koi full form hai jaise Wireless fidelity par esa kuch nahi hai. Wifi ek trademark hai. Fact ye hai ki wifi ka koi full form nahi hai.

Wifi ek wireless network protocol hai jo data transfer aur internet connection establish karta hai different devices ke beech me bina kisi physical wire ke.

Wifi, jisse wi-fi bhi kahte hai wo ek local area network hota hai.

Wifi ek family hota hai wireless network technology ka jo based hota hai IEEE (Institute of Electrical and Electronics Engineering)

Wifi ek trademark hai, ek non-profit organization jiska naam Wifi Alliance hai.

Dusre words me kaha jaye to WiFi ek local network connection hai jo data transfer karne ka tarika deta hai electronic devices ke beech me ya phir ek connection deta hai electronic devices ko jaise phones, laptops, computers, etc.

WiFi ki history

Wifi-ka-history-kya-hai
Wifi ka history kya hai

1997 me ek Australian Radio Astronomer Dr. John O Sullivan apne fellow engineers Terence Percival, Graham Daniel ne WiFi ko discover kiya aur usse successfully connect kiya Internet se.

Wireless local area network (WLAN) protocol 802.11 ko inhone banaya aur IEEE 802 ko bhi construct kia.

Wifi ke kya application hai?

  1. Video game console
  2. Personal computer
  3. Digital camera
  4. Smartphones
  5. Tablet computer 
Aurr bohot kuchhhh

Wifi kaise kaam karta hai?

Wifi ek technology hai jo allow karta hai Internet use karne ke liye handheld devices pe wo bhi bina kisi wired connection ke.

Wifi hamare mobiles aur dusre devices ko connect karta hai air ke through ek router ya Internet se.

IEEE or Institute of Electrical and Electronics Engineering WiFi ke standards deta hai 802 network family ke andar.

Wifi 802 network specifications -

  1. 802.3 Ethernet
  2. 802.15 Bluetooth
  3. 802.11 Wifi networking standard

802.11 wifi standard based on its Designation

NameSpeedFrequency
802.11a54 MBPS5GHz
802.11b11 MBPS2.4 GHz
802.11dN/AN/A
802.11g54 MBPS2.4 GHz
802.11n100+ MBPS2.4 and 5 GHz

WiFi ke uses

Wifi ko use karna ek local area network bna deta hai jisse hum different devices ko connect kar sakte hai aur data transfer kar sakte hai. Hum internet service ek router ki help se bhi use kar sakte hai.

Wifi ke uses

  • Data transfer karne ke liye
  • Internet connection ke liye

Aaj wifi ne hamari life aur Internet connection ko aur convenient bna dia hai. Wifi ki wajah se hum Internet ko kahi bhi use kar sakte hai apne ghar ya office me bina wires ke.

Aaj kal modern aur advanced router yaad rakhte hai connected devices ko aur automatically connect ho jate hai jaise hi device wifi ki range me aata hai.


Also read:-

Facebook se paise kaise kamaye? (हिंदी में )

Python kya hai? Python kaise sikhe? in hindi

Email marketing kya hai? || Email marketing kaise kare?

6 best coding apps jo aapko coding karna seekhate hai


Konse devices wifi se connect ho sakte hai

Konse-devices-wifi-se-connect-ho-sakte-hai
Konse devices wifi se connect ho sakte hai

Aaj kal hamari pass shayad hi koi Electronic device ho jo WiFi se connect nahi ho sakta hai chahe wo mobile ho ya laptop ho ya wo computer, TV,  AC, fridge, etc. Smartwatch, music system, lighting, hamari car bhi WiFi se connect ho jati hai.

Aaj kal ke time me jo Electronic device WiFi se connect nahi ho sakta hai wo outdated aur useless mana jata hai

Wifi ka kya range hota hai

Jaisa aapko pta hai ki WiFi ek local area network hai isliye iski range aur area limited hai. 

Wifi ka range 120 meters ho sakta hai indoor me aur 300 meters kisi open space me. Wifi ki range depend karta hai router ki capacity aur router ke type pe.

Interesting facts about WiFi

  1. Most Internet users jo broadband connection use karte hai wo apne sare devices ko wifi se connect karte hai jaise mobile, laptops, smart TV, etc.
  2. Free Wifi provide kiya jaata hai government ya company ki taraf se. Jaha aapko free wifi mile waha aap Internet use kar sakte hai wo bhi acchi speed ke sath.
  3. Indian railway aur Google ne ek sath mil kar free wifi ki facility di hai India ke 5500 railway station par.
  4. Aaj kal bohot sare log apne ghar ko "smart home" kahte hai aur wifi ne ek bohot bada role Play kiya hai isme.
  5. Fastest WiFi internet pure world me South Korea me available hai. Waha logo ko easily 100 Mbps se zyada ki speed mil jaati hai.
  6. Aaj kal OTT platforms bohot popular ho rahe hai pure world me. Iska bada reason wifi hai.
  7. Starting me jab logo ne WiFi use karna start kia tha tab iska naam Wifi nahi tha. Log isse alag-alag naam se bulate the jaise Wave lane, Dragon Fly, Flank Speed, etc.

Wifi ke dusre full form

  1. WiFi- Wireless internet for Frequent Interface 
  2. WiFi- Wireless Internet for Idiots
  3. WiFi- Wire free Internet

Wifi ke types kya hai

  • WLANS Wireless local area network
  • WPANS Wireless personal area network
  • WMANS Wireless metropolitan area network
  • WWANS Wireless wide are network

Wifi ke alternatives kya hai?

  1. Bluetooth, ek short distance network
  2. Bluetooth Low Energy, ek low-power variant Bluetooth ka
  3. Zigbee, ek low power, low data rate, short distance communication protocol
  4. Cellular networks, smartphones use karte hai ye
  5. WiMax, long-range wireless connectivity ke liye
  6. LoRa, long-range wireless low data rate ke sath.
Thank you for reading