How to increase traffic to your blog fast in 2020 in hindi (my secret) ? || Apne Blog par jaldi traffic kaise badaye 2020 mai (mera raaz) ?

To aap badi mahnat se ek blog bna chuke hai aur ab aapko traffic chahiye jo aapke content ke dekhe.

 How to increase traffic to your blog fast in 2020 in hindi (my secret) ? || Apne Blog par jaldi traffic kaise badaye 2020 mai (mera raaz) ?



To aap badi mahnat se ek blog bna chuke hai aur ab aapko traffic chahiye jo aapke content ke dekhe. To aap bilkul sahi jagah par aaye hai, aaj mai aapko 6 easy steps btaunga jisse aap aapne Blog par traffic laa sakte hai.


1. Strategic content



Agar aapko traffic chahiye to aapke content mai quality honi chahiye, mujhe lagta hai ki ye aapko pahle se pata hoga par kya aapko pta hai ki aapke content mai ek strategy bhi honi chahiye. Acche content matlab sirf quality content se nahi hai par strategic content se bhi hai.

Sabse acchi strategy hai ki aapka content ek specific need ko pura karna chahiye. Aap ko aapne audience ke baare mai sochna chahiye, sochiye ki unhe kya aacha lagta hai, sochiye ki unhe kya chahiye, sochiye ki unki needs kya kya hai. Ye sab sochne ke baad aap jo content likhenge wo aapke audience se relatable bhi hoga aur aacha bhi hoga.

Agar aapko idea chahiye ki aapki audience ko kya chahiye to aap Quora.com pe jaao waha pta karo ki aapke content se related audience kya sawal puch rahi hai. 
Ye sab pta karne ke baad ek accha content bnaye.

Hamesha use mai rahne wala content bnaye.

Koshish kare ki jo aap content bnaye wo hamesha use mai rahe matlab ki kuch time baad uski use na kam ho jaaye.
Example:- agar aapne ek post likha ki latest cricket match mai kya kya hua to wo kuch hafto baad use ka nahi rahega aur log usse search bhi nahi karenge par agar aapne ek post likha roti kaise bnate hai to wo hamesha use mai rahega aur log aapke post ko search bhi karenge kyoki time ke sath cricket match purana ho jata hai par roti bnana nahi.

Bohot acche headlines likhe.

Ek blogger ke roop mai aapko pta hoga ki Blog Post mai headlines kitne important hoti hai kyoki audience wahi padke aapke post par aayegi. Isi liye aapko ek accha sa headline likhne chahiye jo aapki audience ko attract kare jaise ek ladki bohot sare ladko ko karti hai 😆. 
Bohot sare blogger mante hai ki aapke post se jyada important aapki headline hai. Agar aapne ekdum mst aacha sa post likha hai par aapne ek khrab si headline di hai to aapke post par ek chidiya tak Dana chugne nahi aayegi. 
Experiment se Darna nahi chahiye aur aapko aapne post ko alag alag headlines se dubara post karke dekhna chahiye ki konsa best hai.

Aapko emails collect karne chahiye

Jo audience aapke posts par comment karti hai aapko unke email address collect karo. Aap har mahine ya week mai ek baar sare email address par ek email apne best post ke sath bhej sakte ho. Jo users aapke post par comment kar ke gaye hai zyada chance hai ki wo dubara aapke post ko dekhna pasand karenge.

2. Keywords and SEO


Chliye ab aapke Sabse zyada puche jane wale sawalo ke jawab dete hai.

  1. Kya aapko aapne content mai keywords use karne chahiye - yes
  2. Pure article mai links de de kar pura article blue kar dena chahiye - No
  3. Apne dusre related posts ko apne article se link karna chahiye - Yes
  4. Bina kisi experience ke keywords ka use karna chahiye - No

Long tail keywords bloggers ke liye kyo jaruri hai.

Long tail keyword 3 se zyada keywords se bna hota hai aur inn keywords par competition bohot kam hota hai isi liye inn par PPC (pay-per-click) bhi kam hota hai. Par long tail keywords bohot accha method hai google par zyada upar rank karne ke liye.

Example:- agar aap health par ek article likh rahe ho aur aapne aapna targeted keyword "healthy food" par ye ek bohot common keyword hai to iss par bohot zyada competition hoga to aapke article ke rank karne ki chances bohot kam hogi par agar aap apna targeted keyword "healthy food in budget" rakhe to aapke article ke rank karne ke zyada chances hongi.

Agar aapko bohot zyada audience chahiye to keywords aur SEO hi ye kaam kar sakte hai. Bohot log dar jaate hai jab wo keywords aur seo ka naam sunte hai par aapko pta hona chahiye ki keywords aur SEO bohot aache hai jab aache se kiye jaye. Aapko apni targeted audience mil jati hai Google se aur aapki audience ko apne questions ke ans mil jata hai.

3. Promote Promote Promote


Jab apne Blog ke promotion ki baat aati hai tab aapko pta hona chahiye ki kis site par kitna time dena hai. Aapne Blog ko famous aur ek brand ki tarah banane ke liye aapko zyada se zyada social media sites par aapne content ko share karna hoga aur apne ko establish karna hoga.

Aap sare social media platforms ko try karo aur dekho ki aapke liye best kon hai. Agar aap graphic se related content se kaam karte ho to aap pinterest try kar sakte ho yaa agar aap technology aur business se related content pe kaam karte ho to aap linkedin, Facebook, twitter aur mix.com try kar sakte ho ya fir agar aap kisi fix community se related content se kaam karte ho to aap reddit try karo waha aap apni pasand ki community ko join karo aur waha apna content share karo.

Aap google analytics ka use karo pta karne ke liye ki aapke blog ya website par sabse zyada traffic kaha se aa raha hai. 

Aapne Blog par zyada sharing button mat do!!

Studies se ye pta chala hai ki jab logo ko zyada choices di jati hai to wo stree mai aa jate hai aur pareshan ho jaate hai to aap apni audience ko pareshan mat karo aur kam se kam social sharing button rakho. Meri advice hogi ki aap sirf Facebook aur Twitter ka hi button rakho. 

Apni audience se aapka content ko share karne ko bolo.

Sunn ne mai to esa lag raha ho ga ki mai pagal ho gaya hu aur agar aap apni audience se aapka content share karne ho bolenge to unhe aacha nahi lagega par esa nahi hai ek study ke heesab se agar aap apne ek tweet par bolte hai ki "retweet please" to aapke tweet ke retweet hone ke chances 70% zyada ho jate hai. To agar aap chahte hai ki log aapka content share kare seedha aap unhe bol de.

4. Backlinks mat bhul jana....


Apne Blog par organic traffic lane ke liye aapko backlinks bnani to padegi. Backlinks aapko referral traffic gain karne ke liye help karta hai. Backlinks bnana bohot easy hota hai bass aapko apne topic ke top Blogger ke Blog post ke comment section mai jaake ek comment karna hai jisme aap apne Blog ka link bhi denge.

Bass link dena koi backlink nahi hota aapko ek aacha se comment karna hoga aur uske neeche aapko apna link dena hoga. Ya aap HTML tag bhi use kar sakte hai jaise.

<a href="https://uttam-jankari.blogspot.com/?m=1"> thank sir nice knowledge but I have more topic than you </a>

Aap ye tag copy karke meri link ki jagah apna link de de aur apne hisab se comment kare jaha maine kia hai.

5. Speed ki jarurat hai.


Agar aapka blog jldi load nahi hoga to aapki audience back button par daba kar kisi aur Blog par chali jaiga to isi liye aapko aapne Blog ki speed ko kam se kam rakhna hai. Agar aapko nahi pta ki aapke blog ki kya speed hai to aap google insights par jakar check kar sakte hai. 

Isi tarah aapko apne Blog ko mobile friendly bhi bnana hai kyoki aaj kal jyada users mobil use karte hai. Agar aap blogger use karte hai to aap mobile friendly template use karo aur agar aap WordPress use karte hai to aap speed plugins use kar sakte hai.

6. Apne competitors ki help lo.


Haa aapne sahi suna, apne competitors ki help lo jaise aap unke Blog par jaau aur unke social media se connect karke aap unhe apne Blog ke baare mai btao aur bolo ki wo aapki link aapne Blog post mai include karle aur aap unke link include karlo isse aap dono ka faida hoga.

Ek baat aur apne Blog posts ko apne posts se link karne accha hai par dusro ke Blog post se link karne se aap google ko ye msg de rahe ho ki aap koi spammer nahi ho.

Agar aap ye sare steps follow karoge to aapko pakka accha traffic milega.

Agar aapko ye post aacha laga to ise share kare.