Har developer ko python kyo seekhni chahiye? || Python kyo seekhe?

Har developer ko python jarur seekhna chahiye kyoki Python developers ko demand bohot jyada hai.

Har developer ko python kyo seekhni chahiye || Python kyo seekhe?

Python developers ke liye kyo jaruri hai


Python ek 30 saal purani language hai fir bhi log iske bare mai kyo baat kar rahe hai? Developers ke liye waise hi itni sari languages available hai jo web development, programming, app development ke liye bohot acchi hai jaise HTML, Java , C++, C , JavaScript, Kotlin aur bohot kuch fir bhi Python ki itni demand kyo hai. Ajj apke inn sare questions ka answer milega.

Python kya hai ?

Python ek top programming and development language hai jiska use normal programming ke liye kia jata hai. Ye ek server side language hai jo server par chalta hai aur users ko input, interaction, other server jaise kaamo ke liye use hota hai.

Python ek English based language hai jisse Syntax ko samajhna aur read karna aasan ho jata hai. Ise dusri programming languages ke comparison mai read karna aur samajhna aasan hai. Use karne mai aasan hone ki wajah se developers programming karte samay apna time waste hone se bcha lete hai.
Iski wajah se developers ko ek well organised program likhne mai help hoti hai.

Python sabse pahle software development ke liye pasand kiya gaya. Par baad mai python har project ke liye pasand kiya jane laga.

Python kyo seekhe? Ye kyo accha hai?




Bohot reason hai ki kyo developers ko python aani chahiye. Jaldi samajh aane, time bachane, accha program likhne se lekar bohot sare reason hai ki python kyo aacha hai.
Reasons to learn python.

1. Python development services ki demand bohot hai aur har din aur jyada ho rahi hai.

Aaj kal har software development wali company apne developers ko Python seekhne ke liye bol rahi hai aur Python seekhe hue developers ki talash kar rahi hai. Itni demand ka matlab hai ki developers ko aachi salary milti hai aur job security bhi rahti hai. Python developer ko average 30-50 thousand rupees per month ki salay milti hai. Kahi kahi to companies 70-80 thousand tak dene ko ready hai. USA mai average $125000 per year jo lag bhag 950000 rupees hai milta hai.

2. ye seekhne mai easy hai




Junior developers se lekar top ke developers tak sabke liye python seekhna aasan hai. Beginner ke liye to ye best language hai kyoki ye confusing Syntax aur lambe lambe concepts ki tarah nahi hai. Python ke versatile hone ki wajah se ye developers ko multiple languages ke sath kaam karne mai help karta hai.

3. Python program likhne ke time ko bachata hai.

Jab koi programming language kisi human read language jaise English pe based ho to coding karna bohot aasan aur bohot fast ho jata hai. Reality mai Python mai coding dusri language mai coding karne se 10 times fast hai. Python ki Object-oriented design aur Enhanced process control ki wajah se productivity aur jyada ho jati hai.
User-centric data structures ke sath developers ko coding karne mai aasani hoti hai.

4. Aapke support ke liye ek bohot badi community hai.

Coding karte samay ek developer ko koi unknown error ya bugs ka samna karna pad sakta hai to unki help ke liye Online ek puri community hai. Wo apne problems ka solution puch sakte hai aur apna time bachane mai help milti hai. Aap apne questions ke answers experienced developers se puch sakte ho.

5. Python use karne mai free hai aur hamesha rahega.

Python ek open source programming language hai, jiska matlab hai ki ye use karne mai free hai. Iske modules, libraries aur accessories bhi free hai

6. Naye techniques Python par depend karte hai.

2020 aur iske baad Python seekhne ke peeche data science, artificial intelligence aur machine learning jaise bade reasons hai. Ye techniques bohot tough hai aur inki coding bhi bohot sophisticated hoti hai isliye programmers inhe easy bnane ke liye python ka use karte hai. 3 decades se programmers python ko sabhi development projects ke liye apni first choice bna  rahe hai. Jaise jaise technology artificial intelligence, machine learning, data science ke sath aage jaa rahi hai waise waise Python programmers ki demand aur jyada ho rahi hai.


Conclusion


Agar aap ek programmers hai ya bnna chahte hai to aapke liye Python seekhne accha aur jaruri dono hai isliye jaldi se jaldi Python seekhne ka prayas kare.

Agar aapko ye article accha laga to ise share kare.